Posts

Showing posts from February, 2017

Samsung (SM-G615F) spotted on GFXBench and GeekBench

Image
Samsung ke upcoming smartphone ko GFXBench aur Geekbench par padka gya hai. Rumors ke according yeh On Series ka smartphone ho sakta hai. Benchmarking websites par isse SM-G615F model number ke saath list kiya gya hai. Samsung SM-G615F Specifications 5.7 inch Full HD (1920 x 1080 pixels) display 2.3GHz octa-core MediaTek MT6757 Helio P20 chipset Mali T-880 MP2 GPU 3GB of RAM 32GB of internal storage 13 megapixel rear camera 13 megapixel front camera Android 7.0 Nougat Wahi GeekBench ki listing mein Samsung ke iss phone mein 1.9GHz ka octa core processor diya gya hai. Lekin baaki specifications same hai. Filhaal yehi information saamne aayi hai aur leaks ke according yeh Galaxy On7 (2017) ho sakta hai.

ZTE Blade A2 Plus with 5000 mAh battery launched in India : Price, Specifications and More

Image
ZTE ne aaj India mein apna naya smartphone ZTE Blade A2 Plus ko launch kar diya hai. Phone ki main highlight hai 5000mAh ki battery aur company claim karti hai ki yeh two days tak backup de sakti hai. ZTE Blade A2 Plus Specifications 5.5-inch full HD display with 2.5D curved glass MediaTek MT6750T octa-core processor 4GB of RAM 32GB of internal storage, expandable upto 128GB via microSD 13 megapixel rear camera with LED flash 8 megapixel front facing camera 5000mAh battery with fast charging support Fingerprint Scanner Android Marshmallow with Mifavor 3.5 UIConnectivity : 4G VoLTE, Bluetooth 4.0, Wi-Fi, GPS and Micro USB 2.0 Dimensions : 155 × 76.2 x 9.8 mm Weight : 189 grams Colors : Gold and Silver Pricing Blade A2 Plus ko Rs. 11,999 par price kiya gya hai. Isse aap February 5 se exclusively Flipkart se kharid sakte hai. Iss phone ka main competition Redmi Note 4 aur Lenovo K6 Power se hone wala hai. Aapka kya opinion hai ZTE Blade 2 Plus ko lekar...

Hero Electric launched Flash E-scooter in India at Rs 19,990

Image
Hero Electric ne aaj GMX Expo mein apni latest e-scooter Flash ko launch kar diya hai. Flash ko Rs. 19,900 (ex-showroom, Delhi) ki affordable price par market mein utara gya hai. Hero Electric ne claim kiya hai ki yeh easy-to-own and easy-to-maintain two-wheeler hai. Saath saath isko chalane liye aapko registration aur driving license ki bhi jarurat nahi hai. Yeh scooter first time e-vehicle buyers ko target karne wala hai. Hero Flash two colour options, red black and silver black mein available hai. Scooter aapko single charge mein 65 km ki range deta hai. Iss mein 250 Watt motor di gyi hai 48-volt 20 Ah VRLA battery ke saath. Safety ko dhayan rakhte huye Hero ne Flash mein complete short-circuit protection diya hai. Normal scooter ki tarah iss mein bhi under-seat storage compartment diya gya hai. Hero Flash ka weight sirf 87 kilos hai. Yeh electric scooter Magnesium alloy wheels, telescopic suspension and a full-body crash guard ke saath aata hai. Share th...

Xiaomi Redmi Pro 2 with Snapdragon 660 and 6GB RAM leaked

Image
Xiaomi ne recently India mein Redmi Note 4 ko Snapdragon 625 ke saath launch kiya hai. Ab Xiaomi ke upcoming smartphone Redmi Pro 2 ke renders aur specifications online leak ho gyi hai. Xiaomi Redmi Pro 2 Leaked specifications New Snapdragon 660 processor 4GB/6GB of RAM 64GB/128GB of internal storage 12 megapixel Sony IMX362 rear camera 4500mAh battery Yeh phone do variants 4GB RAM aur 64GB storage and 6GB RAM/128 internal storage ke saath aa sakta hai. 4GB RAM model ki price 1599 Yuan yaani Rs. 15990 ke around ho sakti hai. Aur 6GB RAM model 1799 yuan yaani Rs. 17990 ke aas pass aa sakta hai. Redmi Pro 2 ke official launch ke baare mein filhaal koi information nahi hai.

Meizu Pro 7 may come with 5.7 inch 4K display and upto 8GB of RAM

Image
Meizu Pro 7 lagaatar leak par leak ho rha hai. Ab iss phone ka official-looking marketing materials leak ho gya hai. Meizu ke leaked device schedule ke according yeh phone iss saal June mein aa sakta hai. Latest rumors ka kehna hai ki phone mein dual edge curved display bhi aa sakta hai. Meizu Pro 7 leaked specifications 5.7-inch display with 4K resolution MediaTek Helio X30 chipset 4GB and 6GB and 8GB RAM variants 64GB and 128GB internal storage option 12 megapixel rear camera having Sony IMX362 sensor with 10-LED flash arrayTitanium body Expected Pricing Meizu Pro 7 ko teen variant mein launch kiya jayega. Entry-level model 4GB RAM aur 64GB of storage ke saath aayega aur iski price CNY 3,299 (around Rs. 32990) hogi. 6GB RAM/128GB storage wale variant ko CNY 3,599 (around Rs. 35990) par price kiya ja sakta hai. Aur top model 8GB of RAM aur 128GB of storage ke saath aayega aur iske liye aapko CNY 3,799 (around Rs. 37990) chukane padenge.

Nokia P1 concept render shows how amazing phone would be

Image
Nokia ne iss saal ki shuruwat apne Nokia 6 ko launnch kar major comeback ki hai. Rumors ke according Nokia aane wale MWC 2017 mein 6 se 7 smartphones launch kar sakta hai. Aur unn phones mein Nokia P1 flagship smartphone hoga jo high end specifications ke saath aayega. Ab haal hi mein ek video saamne aayi hai jismein sabhi leaks ko compile karke dikhya gya hai ki Nokia P1 kaisa dikh sakta hai. Nokia P1 ko teen colors yaani black, white and silver mein show kiya gya hai. Phone ki looks aur design ki baat kare toh Nokia P1 mein metal body di gyi hai with sleek and glossy finish. Saath saath aapko curved aur chamfered edges diye gye hai. Front ki taraf aapko rectangular home button diya gya hai jismein fingerprint scanner embedded hai aur saath mein do capacitive menu buttons diye gye hai. Smartphone mein aapko minimal bezels diye gye hai. Piche ki taraf rear camera diya gya hai with triple LED flash. Aur back par hamare pyaare Nokia ka logo vertical mein dikh raha hai. ...